⚡ 🔥 पहली 10 राइड्स 100% फ्री — बिना किसी पेमेंट के टेस्ट करें! ज़ीरो आईडी बैन गारंटी.फ्री में टेस्ट करें →
RiderSaathi
शुरू करें
By Captains, For Captains

RiderSaathi Kyun Bana

Ye app kisi air-conditioned office me nahi bana — ye sadak par, ghanton dhoop aur traffic me mehnat karne ke baad bana.

Shuruaat ki Kahani

RiderSaathi banane wale khud Rapido, Ola aur Uber par ride chala chuke hain. Roz ki wahi kahani: ghanton ka intezaar, aur jab ride bajti hai toh do second me kisi aur ke paas chali jaati hai. Pickup aur drop padhne me hi waqt nikal jaata tha.

Aur jab demand chadhti hai toh ulta problem — ride ke upar ride, zyadatar ₹20-₹30 wali. Inhi ko dekhne ke chakkar me 15-20 km wali kamai wali ride kab nikal gayi, pata hi nahi chalta.

Sabse badi baat ye thi ki is dikkat ko kisi ne samjha hi nahi. Driver ko billi ki tarah taak laga kar baithna padta tha. RiderSaathi isi liye bana — taaki rider aaram se, befikar ho kar baithe, aur jo ride uske kaam ki hai wahi uske paas aaye.

Hum Kya Banate Hain

RiderSaathi ek Android app hai jo driver ke apne phone par chalta hai. Driver apne rules khud tay karta hai — kitni doori ki ride, kitna pickup, parcel ya sawari, kaunsa raasta, kitni kamai — aur app unhi rules par chalta hai.

Har feature kisi na kisi asli dikkat se nikla hai. Raste wali agli ride, kyunki khaali lautna ghaata hai. Go To, kyunki shift ke aakhir me ghar ki taraf jaana hota hai. Jahan nahi jaana, kyunki har shehar me kuch ilaake aise hote hain jahan se nikalna hi mushkil hai.

Kaun Chalata Hai (Ownership & Legal Info)

RiderSaathi BruhByte ka business hai (BruhByte Innovations). Ye Registered under Udyam (MSME) & Local Shops & Establishment (Gumasta) Licensing.

Driver ek prepaid plan leta hai — ek mobile number par, UPI se. Na koi auto-renewal, na card save hota hai. Plan apne waqt par apne aap khatam ho jaata hai.

Driver Support & Contact

Support WhatsApp aur website ke Contact se chalta hai. Har sawal ka jawab 2 working days ke andar.

Contact SupportDownload RiderSaathi
🎉 पहली 10 राइड्स फ्रीRiderSaathi v5.28.1
APK डाउनलोड (23.3 MB)