⚡ 🔥 पहली 10 राइड्स 100% फ्री — बिना किसी पेमेंट के टेस्ट करें! ज़ीरो आईडी बैन गारंटी.फ्री में टेस्ट करें →
RiderSaathi
शुरू करें
Android 8.0 से Android 15 तक समर्थित

RiderSaathi ऐप इनस्टॉल कैसे करें

सिर्फ 2 मिनट का आसान प्रोसेस. नीचे दिए बटन से ऑफिशियल APK डाउनलोड करें.

ऑफिशियल APK डाउनलोड करें (23.3 MB)सवाल-जवाब
Version 5.28.1Size: 23.3 MB10 Free Rides Included

4 Aasan Steps me Install & Setup Karein

Download hone ke baad apne phone me ye aasan steps follow karein:

1

APK File Download & Open Karein

Upar diye button par click karke file download karein. Download poora hone par notification ya Downloads folder se file open karein. Chrome agar "Install unknown apps" pooche, toh Allow kar dein.

2

Mobile Number Se Sign In Karein

App open karke apna 10-digit mobile number enter karein. Har naye captain ko turant 10 Free Trial Rides mil jaati hain.

3

Accessibility Permission Allow Karein

App me Accessibility switch on karein. Yahi feature aapke driver apps (Rapido, Uber, Porter) ke booking cards ko padhta hai taaki ride auto-filter ho sake. Ye kisi bhi private data ya password ko access nahi karta.

4

Display Over Other Apps (Floating Button)

Floating control switch on karein taaki screen par chhota icon dikhe. Isse aap chalte-chalte bhi filter on/off ya pause kar sakte hain.

Agar Play Protect Warning Aaye Toh Kya Karein?

Google Play Store se bahar install hone wali har naye app par Android ek security note dikhata hai. Isse ghabrane ki zaroorat nahi hai:

Aapko Play Protect band karne ki koi zaroorat nahi hai:
1. Screen par "More details" par tap karein.
2. Uske baad "Install anyway" par tap karein. Install 2 second me complete ho jayega.

Android 13 ya 14 par "Restricted Setting" Aaye Toh?

Naye Android phones me Accessibility on karte waqt "Restricted setting" likha aaye toh ye ek-time setting karni hoti hai:

  1. Phone ke Settings → Apps → RiderSaathi me jayein.
  2. Upar right corner me 3 dots (⋮) par tap karein.
  3. "Allow restricted settings" select karein aur phone ka lock screen PIN daalein.
  4. Wapas app me aakar Accessibility on kar dein — chalu ho jayega!

Vivo, Oppo, Realme aur Xiaomi Phone Ke Liye Zaroori

Ye phones background apps ko band kar dete hain. Shift ke dauran app active rahe, isliye ye 2 settings zaroor karein:

🔋 Battery Optimization Off

Settings → Battery → RiderSaathi → "Don't optimize" / "Allow background activity" chunein.

🔒 App Lock in Recent Apps

Recent apps menu kholein, RiderSaathi par press karke Lock icon daba dein taaki clearing se app close na ho.

Suraksha ki guarantee: Hamesha official RiderSaathi website se hi download karein. Hum kabhi bhi aapka OTP, ride app password ya UPI PIN nahi maangte.
🎉 पहली 10 राइड्स फ्रीRiderSaathi v5.28.1
APK डाउनलोड (23.3 MB)